About us

Sansar Sagar me aap ka swagat hai. Sansar ek Sagar ki tarah hai. yaha sukh bhi hai aur dukh bhi. yadi ensan yah soche ki wo dukhi hai to wah hamesha dukhi bana rahta hai. aur yadi wo yah soche ki usse bhi jyada es sansar me kisi aur ka dukh hai. dusro ke samne uska dukh kuchh bhi nahi hai. to wo apne aap ko sukhi mahsus karega. yah sach hai ki yadi aap sochte hai ki aap ke pas pahinne ke liy achchhe jute nahi hai to kya aap ne kabhi yah socha hai ki unka kya hota hoga jinke pas jute pahinne ke liy pair hi nahi hai. aap yadi yah soch kar dukhi hote hai ki aap ke pas khane ke liy achchhe achchhe pakwan nahi hai. to kya aap ne kabhi yah socha hoga ki un logo ka kya hota hoga jo din rat kadhi mehnat kar ke apna khun pasina waha kar bhojan prapt karte hai aur kabhi kabhi to unhe bhukha hi sona padhta hai.aap hamesa apne aap ko sukhi mahsus kijiy. jab aap dusro ke dukh ko dekhenge to apne dukh ko bhul jaynge. yadi aap dusro ko sukh denge to aap apne aap sukhi ho jaynge yahi sansar sagar hai.Jaisa ki name se hi pratit hota hai ki sansar sagar jis prakar sansar me hame sari cheeje prapt ho jati hai usi prakar Aapko yaha par har catagories se sambandhit jankariya aur video milte rahenge jinse hame koi sikh milti ho. Aaj ke samay me tecnology ka badha mahatv hai jiska hamare jivan me badha mahatv hai ham tecnology se sambandhi jankariya prap karenge.Aaj mobile ek aisa madyam ho gaya hai jiske dwara ham Apps ke madyam se kafi jankariya prapt kar sakte hai yah Apps hamare liye kafi upyogi savit hua hai en mobile Apps ki jankariya ham yaha prapt karenge eske sath hi ham mobile Apps ka use karna bhi yaha sikhenge.aaj har kam internet ke madyam se ho rahe hai jaise ki yadi hame job ke liye apply karna ho ya bijli ka bill bharna ho ,internet banking ka use karna ho ya fir hame online shoping karna ho. krasi ke kam ho ,hospital ke kam ho ya fir kisi bhi office ke kam ho sare kam aaj internet ke madyam se hi ho rahe hai. yaha par ham internet se sambandhit jankariya prapt karenge aur use kaise use karte hai ye janne ki kosis karenge.aaj sare kam computer ya laptop ke madyam se ho rahe hai ham computer ya laptop se sambandhit jankariya yaha prapt karenge.Es blog ke banane ka uddes yah hai ki apne anubhav v Gyan ko bantna vise to Gyan ki prapti kabhi bhi puri nahi ho pati hai yaha par Ham har chhetre ke pahluo ko janne aur sikhne ki kosis karenge. Es sansar me aaj ke yug me sabhi tanav me rahte hai eska karan hai unki apni apni samasyay.kuchh pal yadi ham apne apne anubhav ko share kare aur ham sabhi ne jo gyan prapt kiya hai unko btaye to sayad kuchh palo ke liye ham tnav mukt rah sakte hai.yaha par aap ko kuchh aisi moral khaniya bhi milengi jinko padhne ke bad hame jivan jeene ki sikh prapt hogi Ensano ke andar aisi bahut si achchhaiya aur buraiya hoti hai jinhe wah samajh nahi pata us samay aisi naitik kahaniya unhe apne andar chhipi achchhaiyo v buraiyo ko batati hai. jinhe ham moral khaniyo ke padhne ke bad un buraiyo ko dur karne ka prayas karte hai aur yah naitik khaniya padhne ke bad unse Gyan prapt krke apne anubhavo ko dusro ke sath share karte hai jisse dusro ko bhi esse kuchh sikhne ka mauka milta rahta hai.Har ensan ke andar achchhaiya aur buraiya hoti hai yah ek human nature hai arthat yah ek Manviy lakchhan hai.jo ki sabhi mai maujud hota hai.Ham apni achchhaiyo ko to dekh lete hai par apni buraiyo ko nahi dekh pate.us samay aisi hi naitik khaniya hamari buraiyo ko janne me hamari madad karti hai aur en kahaniyo ko padhne ke bad ham en buraiyo ko dur karne ka pryas karte hai.aur jyadatar ham apni buraiyo ko dur bhi kar lete hai yadi ham en kahaniyo ko apne dil se samajhte hai to.aur yadi ham en khaniyo ko sirf time pass ke liye padhte hai unhe dil  dimag v man se nahi sahajhte hai to sayad Hamara pryas adhura rahta hai.koi dusra sirf hame rasta dikha sakta hai par hame khud apne aap ko badalna hoga.jabtak ham apne aap ko badalne ki kosis nahi karte tab tak koi bhi naitik khaniya kuchh nahi kar sakti kyoki unka kam sirf rasta dikhana hota hai us raste par chalna hamara kam hota hai.Es sansar me kafi mahan log hua hai jinke anubhav v jivan ke bare mai hame kitabo me padhne ko milta hai.un kitabo ko kai logo ne padhkar unse prernay li hai aur apne jivan ko badal kar safalta prapt ki hai.pahile ka saay tha jab log kitabo ko padh kar khaniyo se prerna lete the.par aaj ka yug technology ka hai ek computer,lapto ,tablet ya ek chhote se mobile me bahut sari kitavo ka bhandar padhne ko milta hai.pahile bahut sari kitavo ko ham ek sath kahi par lekar nahi ja sakte the kyoki wah kafi jagah gherti thi.sirf ek ya do hi kitavo ko ek jagah se dusre jagah par Lekar ja sakte the.lekin aaj ke samay me ek chhote se mobile me kitavo ka bhut sara bhandar lekar duniya ke kisi bhi kone me ja sakte hai ye science aur technology badhi kam ki cheej hai esne ham sabhi ke jivan ko badal diya hai esne hamare kamo ko aasan bana diya hai. aaj ke samay me har chhetra me science aur technology ka upyog kiya ja raha hai.chahe wah krasi ka chhetra ho chahe wah chikitsa ka chhetra ho chahe wah shikchha ka chhetra ho ya fir Bank aur vyapar ka sabhi jagar es science aur technology ka upyog kiya ja raha hai. yaha par ham aisi hi gyan v anubhav ko prapt karne ki v dene ki kosis karenge.
             
                           yaha ham kuchh gyan ki bante sikhenge. kabhi apne dukh ko bhulane ke liy hansne ki kosis karenge. yaha ham Internet se sambandhit cheeje sikhenge. yaha ham computer aur mobile se sambandhi cheeje sikhenge.

                           Mai Asha karta hu ki aap ko mera blog pasand aayga.

No comments:

Post a Comment